Wednesday, September 26, 2007

A song of optimism .......


Sau mein sattar aadami filhaal jab nashaad hain
Dil pe rakh kar kaath kahiye desh kya aazad hai

Kothiyon se mulk ki mayaar ko mat aankiye
Asli Hindustan to gaaon mein aabaad hai

Reh gayi hai jo ulajh kar fileon ke jaal mein
Roshni us gaon tak pahunchegi kitne saal mein

Mere seene mein nahi to tere seene mein sahi
Ho kaheen bhi aag lekin aag jalni chahiye

Sirf hungama khada karna mera maksad nahi
Apni koshish hai ki ye soorat badalni chahiye…

Sau mein sattar aadami filhaal jab nashaad hain
Dil pe rakh kar kaath kahiye desh kya aazad hai

Ek chingaari kahin se dhoond laao doston
Is diye mein tel se bheegi hui baati to hai…

MERE SEENE MEIN NAHIN TO TERE SEENE MEIN SAHI
HO KAHIN BHI AAG LEKIN AAG JALNI CHAHIYE…